Hai watan apna jahaan may aik dilkash gulsitaan Hum nikhartay phool iss kay, yay humaara aasheeyaan Apna sir iss kee badolat fakhr say ooncha hoowa Farz hai ab iss kee hoormat kay banein hum passbaan Saaray as-haab-e-watan ko apna yay paighaam hai Ab banaaein hum issay gehwaara-e-aman-o-amaan Ho nazar apnee hamaisha sir bulandee kee taraf Sir nigoon har dum rahein paish-e-khuda-e-meherbaan Ay khuda!
Shaadaab hoan nakhl-o-nihaalaan-e-chaman Naghma zan, azad, ho har andaleeb-e-gulsitaan Pakistan Hamaara Hai Chalo ik geet gaatein hain kay Pakistan humaara hai Agar yay jaan bhi maangay hummein yay bhi gawaara hai Hum apnay dais kee azmat kay mahrum hain, nigehbaan hain Humaaray azm-o-istiqlaal nay iss ko nikhaara hai Humaaray dil may hai mehfooz ik chaahat bulandee kee Humaaree aankh kay parday kay peechay ik sitaara hai Humaaree aarzoo yay dais, yay hai jaan say pyaara Yay hai vo gulsitaan jiss ko shaheedon nay nikhaara hai Ho chaahay khail ka maidaan, ya ho razm ka maidaan Agar iss may kharay utray toe azmat askkaara hai Saffar karrtay rahein gay zeest kee raahon may seena chaak Kabhi yay baazoo-e-faulaad jungon may na haara hai Chalay ik doosray kay saath har dum, har masaa'il may Shujaa'at, qoovat-e-imaan, yay momin ka yaara hai